Rizq Mein Kushadgi Aur Qarz Se Nijat Ka Amal In Urdu

Rizq Mein Kushadgi Aur Qarz Se Nijat Ka Amal In Urdu

rizq mein kushadgi aur qarz se nijat ka amal in urdu

rizq mein kushadgi aur qarz se nijat ka amal
rizq mein barkat ka amal in urdu

Dunya mein amoomi tor par insaan maali pareshanio mein jakra rehta ha lekin ka hal bhi Quran Majeed mein mojood ha, Surah Rehman ki tilawat karne se na sirf aap ke rizq mein kushadgi hoti ha balke qarzon se bhi nijat mil sakti ha, isi tarah aur kiya kuch fawaid hein, wo kuch youn hein.

Farakhi Rizq Ke Liye:

Sawab ke ilawa rizq ki farakhi ke liye har roz Namaz e Isha ke baad 3 baar Surah Rehman parhe. Awal o akhir 11, 11 martaba Darood Pak parhe. Har roz Isha ki Namaz ke baad ye Wazifa bila nagha parhne ka mamool bana liya jaye to Rab Ta'la ke fazal o karam se kabhi rizq mein kami waqae na hogi.

Ghurbat Se Nijat Ka Wazifa:

Ghurbat, tangdasti aur aflaas door karne ke liye har Juma ko Namaz e Isha parh kar musallah par bethay aur awal o akhir 11 baar Darood Pak parhe. Darmiyan mein 10 martaba Surah Rahman parhe. Phir Rab Ta'la se Dua mange aur kisi se baat cheet na kare. Haq Ta'la ne chaha to chand hi dino mein us par Allah ka be intiha inaam o ikraam ho jayega.

Karobar Mein Barkat Ki Dua:

Ba wuzu halat mein 7 martaba Surah Rahman Shareef parh kar apni dukan ke maal par dam karein. Allah Ta'la ne chaha to dukan khoob chalegi aur customer wafir miqdar mein shop par aayengay.

Dua For Debt:

Jis kisi par bohat ziyada qarz wajibul ada ho aur wo qarz ada karne ki taqat na rakhta ho to use chahiye ke wo har Namaz ke baad awal 11 martaba Darood Pak parhe, phir 11 baar Surah Rahman parhe. Parhne ke baad phir 11 martaba Darood Pak parhe. Haq Ta'la ne chaha to ghaib se qarz ki adaigi ka saman paida ho jayega aur pareshani jati rahega.

Dolat Ka Wazifa:

Ghurbat o aflaas ke khatima ke liye Surah Rahman ka parhna intahai faidamand ha, jo shakhs ghurbat o aflaas ka shikar ho use chahiye ke wo har roz Fajar ki Namaz ke baad 1 martaba Surah Rahman parhe. Parda ghaib se aesa saman paida hoga ke us ki maali pareshani mein badal jayegi. Ghar ke halaat theek ho jayengay. Maal o dolat ki rel pel ho jayegi, lekin is maqsad ke liye bila nagha Surah Rahman ka wird karna hi matlooba miqdar ko poora karta ha.

Karobar Ki Tarakki Ka Wazifa:

Dukan mein khair o barkat ke husool ke liye har roz dukan kholne ke baad ba wuzu halat mein awal 11 martaba Darood Pak parhein, phir Surah Rehman ka wird karein, us ke baad phir 11 martaba Durood Pak parhe aur dukan ke charon kono mein phoonk mare, Insha Allah dukan mein khair o barkat paida ho jayegi.

No comments:

Post a Comment