Rang Gora Karne Ka Tarika

Rang Gora Karne Ka Tarika 

rang gora karne ka tarika

rang gora karne ka totka
rang gora karne ka totka in urdu

Gora Hone Ke Tarike:

Ye baat to tasleem karni paregi ke hamaray haan gora rang har kisi ko pasand ha. Har larki yehi chahti ha ke wo gori aur dilkash nazar aaye. Isi liye wo har wo tarika istemal karne ke liye tayyar rehti hein chahe us se unke chehre par buray asraat parne ka bhi dar ho. Isi liye aaj hum ne apnay readers khas tor par ladies ke liye chehre ki rangat ko gora karne ke mukhtalif tarike laye hein jin ke use ke baad wo pehle se ziyada khoobsurat aur pur aetimad nazar aayengay.

Dahi Se Rang Gora Karne Ka Tarika:

Dahi ke istemal ki sab se bari waja ye ha ke is mein lactic acid paya jata ha jo rangat ko gora karne ke liye behtareen samjha jata ha. Subah moo dhone se bhi pehle aap dahi ko ahistagi se apnay chehre par lagayen aur aram aram se chehre ki jild par se masalti jayen. Jab achi tarah dahi aap ke face aur neck par lag jaye to thori dair laga rehne dein takay lactic acid achi tarah apna kaam kar sake. 12-15 minute ke baad moo ko thanday pani se wash kar lein aur ahistagi se dry kar lein. Is tarike ko rozana taqreeban 1 se 2 month repeart karne se aap dekhengay ke aap ke chehre aur neck ki rangat mein goray pan ka izafa ho chuka hoga.

Shehad Se Rang Gora Karne Ka Tarika:

Wesay to sirf dahi ke istemal se hi aap ko kafi nataij hasil ho sakte hein lekin agar dahi mein 1 spoon shehad mila kar bhi moo par use kiya jaye to bhi aap ki rangat kafi saaf suthri aur gori ho jayegi. Dahi aur shehad ke mixture ko ahistagi se chehre aur gardan ki jild par lagayen aur 20 se 25 minute baad thanday pani se moo dholein.

Besan Se Rang Gora Karne Ka Tarika:

Besan pakoron ke liye to lazim o malzoom ha hi par rang gora karne ke liye bhi besan ka istemal mufeed samjha jata ha. Besan ke andar bohat se ingredients hote hein jo chehray ki jild ko gora banane mein bohat madad karte hein.
Besan ko thoray se arq e gulab mein mila kar garha sa paste bana lein aur ise face aur gardan ki jild par lagayen aur thori dair ke liye chor dein. Jab sara paste dry ho jaye to chehre ko achi tarah thanday pani se wash kar lein aur naram kapray se dry kar lein.

No comments:

Post a Comment