Hajat Puri Hone Ka Wazifa
Bawuzu ho kar kisi saaf jagah par baith jayein.
Durood-e-Ibrahimi 11 martaba parhein.
Surah Fatiha 7 martaba parhein.
Surah Ikhlas 11 martaba parhein.
Akhir mein phir 11 martaba Durood-e-Ibrahimi parhein.
Dua mangte hue Allah Ta’la ke huzoor apni jaiz hajat o murad bayan karein.
Yeh amal aap rozana namaz-e-isha ke baad karein aur kam az kam 11 din tak musalsal karein.
Ahem Hidayat:
Yeh amal sirf jaiz maqsad ke liye kiya jaye, kisi bhi gunnah ya najaiz kaam ke liye wazifa parhna sakht mana hai.
Koi bhi khuwahish koi bhi hasrat jo ke abhi tak poori na ho pai ho or khuwahish jaiz honi chahiye. Insha Allah zaroor poori hogi. Qurani Ayat ka khoobsurat amal.
"Hasbunallahu Wa Ni'Mal Wakeel Ni'mal Mola Wa Ni'man Naseer"
Is Ayat e Pak ko awal aakhir 3, 3 bar Durood Shareef 500 martaba parhein baad Namaz e Fajar ya baad Namaz e Isha amal ke baad apni hajat ke liye dil se Dua mangein.

No comments:
Post a Comment