Aankhon Ke Neechay Soojan - Ahtiyati Tadabeer

Aankhon Ke Neechay Soojan - Ahtiyati Tadabeer

aankhon ki sujan ka ilaj
aankhon ki sujan ka ilaj
tips for eye swelling
eyes care tips

Aankhon ke neechay soojan ka masla amooman moroosi hota ha. Is mein eyes ke neechay ki jild phool kar theliyan si ban jati hein. In ki mojoodgi mein chehra kisi umar raseeda fard ka mehsoos hota ha, aam tor par 30 saal ki umar ke baad eyes ke neechay ki jild ki ye kefiyat numayan ho jati ha taham kuch wajoohat mein 30 saal se qabal bhi eyes ke neechay jild aesay kharab ho sakti ha jin mein kidneys ki beemariyan, infection or liver ke problem shamil hein.
Aesi soorate haal mein jild mein pani jazb karne ka rujhan ziyada hota ha choonkay eyes ke neechay ki skin ziyada nazuk hoti ha or is mein narmi ziyada pai jati ha is liye is mein ratoobat ziyada jama ho jaye to phooli phooli theliyan si ban jati hein, Is maqsad ke liye na sirf androoni ilaj zaroori ha balkay eyes ki skin ki hifazat bhi ahem hoti ha, gurdon ke nizam ki islah ke liye pani ziyada use karein. Tea, coffee or deegar beverages kam kar dein or khaas tor par chiknai or garam ghiza se perhez karein. Is ke ilawa 1 glass neem garam pani mein lemon juice daal kar piya karein.

1 comment: