Podina Ke Fawaid

Podina Ke Fawaid

podina ke fawaid in urdu

pudina ke fawaid
mint leaves benefits in urdu
pudina ke faide

 Aam tor par log podinay ko 1 mamooli vegetable consider karte hein magar ye aik saste damo milne wali zado hazam, maida or aanto ko taqat ko dene wali ghiza hai. Maida ise 2 3 hours mein hazam kar leta hai.
Ye khushboodar vegetable hai. Is ki khushboo, lazeez chatni behad pasand ki jati hai. Ye hazim hoti hai. Podine ka raaita bhi khush zaiqa or taqat bakhshta hai.
Bad hazmi, dakaron ki kasrat, riyah, gas, moo ki badboo door karne wali ye ghiza shafi dawa bhi ha. Qudrat ne ghizai nali ko mazboot banane ke liye is mein thori quantity mein nashasta dar glucose banane wale ingredients shamil kar diye hein.
Wo afrad jo bhook ki kami ka shikar rehte hein wo khane ke waqt mooli, shaljam, gajar, saib or amrood kisi bhi 1 cheez mein itna hai podina mila kar is mein lemon ka juice nichor kar salad bana kar khayen to bhook khoob khul uthe gi. Kamzor or zaeef afrad ko sehat bhi hasil ho jaye gi.
Neend kam aane ki shikayat wali khawateen agar is mein hara dhanya or piyaz bhi shamil kar lein to neend ki kami ya neend na aane ki shikayat bhi rafa ho jaye gi.
Podine ke leaves maiday ki jalan or ghizai nali ki jalan mein bohat mufeed hote hein. Matli, qay mein is ke leaves pees kar vinegar  mila kar subah breakfast ke tor par use karne se aesi takleef khatam ho jane ke sath sath sehat bhi achi ho jati hai. Podina ilaj ek ilawa thandak deta hai.

No comments:

Post a Comment