Karele Ke Fawaid

Karela Ke Fawaid

karelay ke fawaid in urdu
karelay ke fawaid
bitter gourd benefits in urdu
karele ke faiday
karele ke faide

Iron, calcium, phosphorous, protein, insulin or vitamin B, C is ke ajza hein.
Diabetes ke liye ye vegetable intahai mufeed hai.
Joron ke dard or ghatya ko door karta hai.
Balgham ko door karta hai, pet ke keeray halak karta hai. Falij, laqwa or yarqan ke liye behad mufeed ha.
Taza karelay ka rus 7 tola ko 2 tola honey mein mila kar peena jigar ke liye mufeed hai.
Tabkheer maida ke liye mufeed hai.
Karelay ke beej roghan badam mein ghot kr lagayen zakham mundamil ho jaye ga.
Karelay ke namkiyat insani machinery mein is kami ka bhi tadaruk kartay hein jo paseena ki soorat mein namak kharij hone se paida hoti hai jis hazrat ka maida kharab, gas ki kharabi, be chaini, thakan, paon jalna or pindiliya bojhal rehti ho un ke liye 1 asan nuskha hai. 1 chatak se 5 chatak tak hasb-e-umar o bardasht taba karelay raat ko bahar asman talay rakh diye jayen or subah baghair chilkay utaray or beej nikale pani  nikal kar pee lena chahiye is mein vitamins, folad or namkiyat wafir miqdar mein hote hein.

No comments:

Post a Comment