Depression Causes & Treatment In Urdu

Depression Causes & Treatment In Urdu

Depression Causes & Treatment In Urdu

Zehni uljhan, pareshani, tafarrukat, neend an aana, achanak sadma, gham ki khabar, nuqsanat, constipation, ziyada jagna, bechaine waghera ke sabab, baaz auqat insan par mayoosi or dil shikastagi ki si kefiyat tari ho jati ha. Is ko depression kehte hein, Mada parasti, dunya talbi, akhrat faramoshi is ke khas asbaab hein.
Ilaj: Mareez ko tasalli o tashaffi di jaye, mahol or halat ko tabdeel karne ki koshish ki jaye, aesay mareez ka ilaj mahir-e-nafsiyat kar saktay hein. Mareez ko samjhaya jaye ke gham or khushi aane janay wali cheezein hein, Nafa o nuqsan sab qudrat ke ikhtayar mein ha. Insan ko usi par bharosa rakhna chahiye. Or har halat mein sabar karna chahiye. Hamay jo kuch bhi ranj o takleef pohanchti ha ye hamari aazmaish ha is ka sila aakhrat mein milega. Ibadat o zikar o akhrat ka tasawur dil shikastagi ka behtareen ilaj ha.

5 comments:

  1. meeein bahot zaida depression ka shikar rehta hooon 😢

    ReplyDelete
    Replies
    1. 2 spoon khashkhash lein ise malmal ke kapre ya kisi bareek kapre mein daal kar girah laga lein, ab 1 glass ya bara mug tez garam doodh (Kholta huwa) le lein, is khashkhash ki potli ko doodh ke glass mein daire ki shakal mein ghumaye, potli upar se pakar kar rakhein is tarah ke khashkhas wala hissa doodh ke andar rahe sirf 1 bar karein or doodh pi lein. Khashkhash parindo ya ants ko daal dein takay zaya na ho, ise peene se Insha Allah bohat hi achi neend aaye gi or depression se yaqeeni nijat bhi.

      Delete
  2. Me bhot depression aur khof ka shikaar rahta ho

  3. Mery bhi 25 sall say depression ka ahikar han or wo pechli chezoon ko yadd krtaa hai.... Hai barr barr hath dohtaa hai bass asy kafii ilamat hai

    ReplyDelete