Akhrot Ke Fayde In Urdu

Akhrot Ke Fayde In Urdu

akhrot ke fayde in urdu

Dry fruit bohat sehat bakhsh ghiza tasawur ki jati ha kiyounke ye ghizayat se bharpoor hote hein, in mein Vitamini E, good fats aur anti oxidant wafir miqdar mein paye jate hein. Agar aap rozana 5 akhrot apni ghiza mein shamil kar lein to is ke fawaid se aap bhi heran reh jayengay. Rozana 5 walnut khanay se aap ko kiya faiday hasil ho sakte hein?
Is se cholesterol control mein rehta ha.
Dimaghi sehat ko behtar banata ha.
Heart disease se bachata ha.
Diabetes ka khatra taal deta ha.
Hair, skin aur nails ke liye behad mufeed ha.
Cancer se bachata ha.

5 akhrot khane ke 4 hours baad dekhen kamal akhrot apna asar bohat jald dikhata ha. Agar aap 5 walnut khayengay to 4 hours baad hi akhrot apnay kamalat dikhana shru kar dega, 5 akhrot khanay ke baad aap ke jism ko ghizayat aur Vitamins milana shru ho jayengay aur in Vitamins ke zariye aap bohat fresh mehsoos karengay.
Akhrot ke zariye aap apna zehni dabao bhi khatam kar sakte hein choonke akhrot mein anti oxidant mojood hote hein jo ke aap ke body mein mojood mukhtalif disease ke khilaf larte hein jesay heart disease waghera. Is ke ilawa is mein mojod omega 3 fatty acid ke zariye depression se nijat milta ha.

1 comment: