Isabgol Ispaghol Ke Fawaid

Isabgol Ispaghol Ke Fawaid

isabgol ke fawaid

ispaghol ke fawaid


Mojooda dor mein tarze zindagi kiya badla ha. Insan khush khooraki aur adam warzish ki waja se beemar hone laga ha, ye beemari izafi aur ghair munasib ghizaon ke use ki waja se paida hoti ha khas tor par jo ghiza ko hazam nahi kar pata aur aanto se kharij krne mein use dushwari ho jati ha aanto ka nizam sust ho jata ha to qabz jesa moozi marz paida ho jata ha jis ke liye ya to medicines khani parti hein ya phir isabgol.
Ispaghol se taqreeban har shakhs waqif ha bari mashoor aam dawa ha isabgol 1 beej ha jis ka plant 1 gaz ke qareeb ooncha hota ha us ki tehniya bareek hoti ha aur leaves lambay yani jamun ke leaves se taqreeban mushabha hote hein is ka rang surkhi maail safed aur siyah hota ha ye be zaiqa aur luaab dar hota ha is mizaaj sard aur tar hota ha is ki miqdar khoorak 3 masha se 1 tola hoti ha isabgol ke chilkay ko saboos isabgol kehte hein.
Ispagho ke numaya fawaid mein tabiyat ki garmi aur piyas ki shiddat mein taskeen pohchana shamil hein garmi ke bukhar aur khoon ke josh ko taskeen dekar tabiyat ko naram karta ha seena zaban halaq ke khokharay aur jigar ki garmi aur dama ki beemarion ke liye mufeed ha aanton zakhmo aur maror hone ki halat ki durustagi ke hawalay se bhi ise shafi paya gaya ha.
Is ke liye ise sharbate sandal mein 1 bara spoon daal kar pilana mufeed hota ha qabz kusha ha, ye daimi qabz mein bhi mufeed ha mardana johar ko garha karta ha aur quwat e bah barhata ha.

Headache ki soorat mein isabgol sirka mein ragar kar chanbeli ka oil mila kar peshani par lap karne se faida hota ha agar chambeli ke roghan ki bajaye almond oil mila kar lap kiya jaye to fori afaqa hota ha. Jaryan mein ispaghol ka chilka hamrah sharbat e bazoori ya sandal ke subah nihar moo peena faidamand ha dimaghi taqat barhata ha, dimaghi kaam karne walo ke liye zaroori ha ke raat sotay waqt 5 danay giri badam chaba kar khayen aur baad mein 1 tola ispaghol doodh mein mila kar piyen ye maqwi dimaghi nuskha ha.
Nasyan ke amraz mein isabgol ka 1 bara spoon hamrah sharbat e sandal subah nihar moo peena behad mufeed ha aur raat ko sotay waqt 5 dana garmi, badam sonf, 1 tola koza misri hasbe zaroorat hamrah doodh use karein moo ke dano ki takleef mein ispaghol ka istemal behad mufeed ha aesi soorat mein 2 spoon dahi mein 1 spoon ispaghol mila kar subah nihar moo khaya jaye aur har khanay ke baad bhi ise use karein. Warmo ko tehleel karne ke liye ispaghol ko sirka mein ragar kar mutasira jaga par lap karna behad mufeed ha pechish mein ispaghol 1 tola pani ke sath khanay se faida hota ha.
Soozak mein ispaghol ko pani ya sharbat ke hamrah chand youm tak use karne se shifa hoti ha stomach ki beemarian khas tor par ulcer mein behad mufeed ha balon ko narmi chamak dilkashi aur ghatapan provide karne ke liye arq e gulab mein thora ispaghol ragar kar balon par lap karne aur 2 hours ke baad dhonay se faida hota ha. Ye ilaj mosam e garma ke liye ha khushk khansi aur dama ke liye rozana 1 tola ispaghol doodh ya pani ke sath 40 days tak use karein.

No comments:

Post a Comment