Pait Ki Charbi Pighlane Ka Tarika

Pait Ki Charbi Pighlane Ka Tarika

pait ki charbi pighlane ka tarika

Agar to aap ki tond nikal aaye to yaqeenan shakhsiyat ka sara tasur kharab ho jata ha aur zehni pareshani alag hoti ha. Yaqeenan aesa hone par sab log acha nazar aane ke liye har mumkin koshish karte hein or izafi charbi se nijat hasil karna mission bana lete hein ko ke mukhtalif sangeen amraz ka bhi khatra barhati hein, jese diabetes, heart disease waghera.
Magar kiya aap ko maloom ha ke chand beverages aap ko is izafi charbi tezi se pighlane mein madad dete hein.

Green Tea
Is fehrist mein sab se upar green tea ka number ha jo anti oxidant se bharpoor hoti ha jo ke tond ki charbi ko pighlane mein madad dete hein. Mukhtalif research mein ye baat samne aai hai ke green tea ko peena mamool bana lena tond ki charbi ko tezi se pighlata ha.

Shehad Daar Cheeni Ka Pani
Daar cheeni metabolism ko behtar banata ha jis se jismani weight mein kami ka amal bhi tez ho jata ha 1 teaspoon daar cheeni garam pani mein shehad ke sath mila kar har subah pee lein, chand hafton mein aap numayan faraq mehsoos kar sakengay.

Saib Ka Sirka
Saib ka sirka patte ke siyal ko harkat mein lane ke liye behtareen aur tond se nijat ke liye stomach mein acidity level ko behtar rakhta ha. Is vinegar ko har subah garam pani mein mila kar nihar moo peena faida mand hota ha.

Pineapple Juice
Pineapple juice tond ki charbi ke liye behtareen nuskha ha is mein mojood enzymes protein ko metabolize karne mein madad deta ha aur izafi charbi ko pighla deta ha.

Podinay Ki Chai
Podina ghiza ko tezi se hazam hone mein madad deta ha aur charbi banne se rokta ha isi tarah pait ko phoolne nahi deta jo ke charbi ke ijtemal ke bai's aksar logon ko lahaq hone wala aariza ha.

No comments:

Post a Comment