Olive Oil Ke Fayde

Olive Oil Ke Fayde

Olive Oil Ke Fayde 

How You Can Get Beautiful Skin With Just Olive Oil:

Winter mein chehre ki jild aur baal khushki se kafi mutasir ho jate hein jis ke bai's skin rookhi aur baal be jaan se lagne lagte hein taham in masail se chutkare ke liye olive oil ka istemal intahai mufeed ha.

Jaitun Ka Tel For Hair:

Khushk mosam mein balon ki chamak kam hone lagti ha aur sath hi baal kamzor hona shru ho jate hein, zaitoon ka tel na sirf hair shining mein izafa karta ha balke balon ki jaron ko bhi mazboot karta ha. Shampoo karne se 2 hours qabal balon mein olive oil massage karein aur phir garam towel mein balon ko lapet lein, shampoo ke baad balon mein chamak aur mazbooti wazeh tor pr nazar aaye gi. 

Olive Oil As A Makeup Remover:

Zaitoon ka tial qudrati makeup remover ke tarah kaam karta ha, ye wipes ke muqablay mein ziyada faidamand aur jild ke liye behtar hota ha, khaas tor par eye makeup ko hatane ke liye behtareen ha aur sath hi chehre ki rangat bhi mand parne se bachata ha. 

Olive Oil For Acne Scars Overnight:

Pollution ki waja se chehre par aksar keel muhase ho jae hein, jo men and women dono hi ke liye pareshani ka bai's bante hein. Expert ke mutabiq zaitoon ke tel mein salt mila kar paste banayen aur ise face par laga kar halka sa massage kar lein, phir ise neem garam pani se wash kar lein to ye acne kam karne mein kafi helpful hoga.

Olive Oil For Nails:

Nail polish ko kasrat se istemal karne par nail ki chamak kam ho jati ha, is soorate haal mein olive oil ka istemal kafi moassar sabit hota ha. Agar nail polish ko mitane ke baad kuch dair nail pr zaitoon ke tel lagaya jaye to nakhun ki chamak barqarar rahe gi aur wo pehlay se ziyada dilkash beaity ho jayengay. 


Zaitoon Ke Tibbi Fawaid:


1. Zaitoon ke tel ki malish karne se jism ko quwat hasil hoti hai.
2. Patho ka dard jata rehta hai. Arq Un Nisa ka behtareen ilaj hai.
3. Zaitoon ke tel mo marham (ointment) mein shamil kar ke laganay se zakham bhar jatay hein.
4. Nasoor (Hamesha rehnay wala phora) ko mundamil karne mein zaitoon se barh kar koi dawa behtar nahi.
5. Zaitoon ka tel tezabiyat (Acidity) ko khatam karta hai.
6. Meda (Stomach) mein cancer ya zakham ki soorat mein zaitoon ka tel shafi ilaj hai.
7. Khali pet zaitoon ka tel zakhmo par dawa ka kaam karte hue meday ko durust karta hai.
8. Badan ki khushki ko door karne or jildi amraz for example chunbal or khushk ganj mein mufeed hai, saans ke har qisam ke amraz ka behtareen ilaj hai.
9. Dama (Asthma) ke marz ka is se behtar koi ilaj nahi.
10. Influenza or Pneumonia ke khilaf quwat-e-mudafia't paida karta hai. Zaitoon ka tel kalonji mein mila kar naak mein dalna nakseer ke liye mufeed hai.

No comments:

Post a Comment