Subhan Allah Parhnay Ki Fazilat

Subhan Allah Parhnay Ki Fazeelat

Subhan Allah parhnay ki fazilat
Subhan Allah parhne ki fazilat
Subhan'Allah Parhne ki Fazeelat

Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne farmya k 2 kamlay aesay hein jo Allah ko bohat mehboob  hein or zaban par nihayat halkay hein magar meezan (Tol) mein bohat bhari hein. 
Subhanallahi Wa Bihamdihi Subhan Allahil Azeem

Sahi Bukhari: Jild Som: Hadees # 2428

Chehray Se Til Khatam Karne Ka Tarika

Chehray Se Til Khatam Karne Ka Tarika

face se til khatam karne ka tarika
chehre se til nikalne ka tarika
how to remove moles on face
 chehre se til khatam karna

1 chutki baking soda mein chand drops castor oil k milayen isay sari raat tilo (moles) par laga rehne dein.
20 din tak continue lagayen ahista ahista til khatam ho jayengay.

Awaz Beth Janay Ka Ilaj

Awaz Beth Janay Ka Ilaj

awaz beth janay ka ilaj in urdu
awaz beth jana
hoarseness treatment in urdu

Awaz beth janay ki soorat mein sandal ki lakri kay buraday ko safoof ki shakal mein pees lein or is mein thora sa khalis shehad mila kar din mein 5 ya 6 martaba chaat lein Insha Allah bethi hui awaz theek ho jaye gi.

Rabi Us Sani Ka Wazifa

Rabi Us Sani Ka Wazifa 

Rabi Us Sani ka Wazifa

1. Har Namaz k badd 100 martaba:
Ya Malik Al Mulki Ya Zal Jalali Wal Ikram
Note: Insha Allah is Wazifay ki barkat se khushhali naseeb hogi.

2. Pooray din mein 500 martaba Durood-e-Khizri parhein:

3. Pooray mah mein 3 Rozay.

4. Isha ki Namaz k baad 2 Rakat Namaz Nafil baray Eesal-e-Sawab Imam Ul Ambiya or Aap (Peace Be Upon Him) ki poori ummat or sartaj-e-aulia Huzoor Ghouse Azam (R.A).

Matli (Nausea) Ki Shikayat K Liye

Matli Ki Shikayat K Liye

matli shikayat k lye in urdu
kiya aap ko matli ki shikayat rehti hai
matli ki shikayat door karne k lye

Nausea ki shikayat ho to a spoon adrak ka rus, 1 spoon lemon ka rus, 1 spoon podeena ka rus or 2 spoon honey mila kar frypan mein mamooli aanch par garha qawaam kar ke utar lein. Thora thora ye murakkab chatnay se matli door ho jaye gi.

Jismani Kamzori Ka Ilaj

Jismani Kamzori Ka Ilaj

jismani kamzori ka ilaj, quwate bah mein izafa karne ka tarika
 jismani taqat ka nuskha
mardana taqat mein izafay ka nuskha
quwate bah mein izafay k liye asan totka

Jismani kamzori ko door karne or quwate bah mein izafa ki gharz se honey ka use nihayat mufeed hai is maqsad k liye honey ko egg, onion or carrot k sath use kiya jaye to kamzori ka khatima ho jata hai or quwate bah mein izafa ho jata hai.

Ganj Pan Ka Ilaj

Ganj Pan Ka Ilaj In Urdu

ganj pan ka ilaj in urdu
 hair loss treatment in urdu

 Ganjay pan k liye onion cheel kar kuchal lein or isay honey mein mila kar khoob achi  tarah mix kar k jahan hair uganay ho us skin ko khurdaray kapray se rub kar k lap karein ganj pan ka marz khatam ho jaye ga  is maqsad k liye ye bohat hi saree ul asar nuskha hai.

Khalis Shehad Ki Pehchan

Khalis Shehad Ki Pehchan

khalis shehad ki pehchan in urdu
asli shehad ki pehchan
pure honey ki pehchan

Choonkay fi zamana har cheez mein milawat ki waba aam tor par kuch ziyada hi phelti ja rahi hai is liye kisi bhi cheez k mayar ko parakhnay k liye is k asli pehchan k liye kai tareekay paye jatay hein is tarah honey ki asli honay ki pehchan k chand tareekay darj zel hein.

1. Honey k chand qatray pani k glass mein takpayen agar wo drops isi halat mein glass k penday par paray rahein to khalis shehad hai is liye k shehad asani k sath pani mein hal nahi hota jabkay sheera ya sharbat k drops penday tak pohanchnay se pehlay hi toot jatay hein.
2. Salt ki dali ko honey par rub karein phr honey taste karein agar zaiqa namkeen mehsoosh na ho to honey khalis hai.

3. 1 paper ya kapray par honey ka qatra daal kar isay tircha karein agar honey ka qatra kaghaz ya kapray par lagay baghair phisal  jaye to honey khalis hai.
4. Honey ko roti par lagayen or phir bhookay kuttay k aagay dalein agar honey khalish hoga to kutta nahi khaye ga kiyounkay kutta honey nahi khata.


Lungs Cancer Symptoms, Risk Factor And Safety Precautions

Lungs Cancer Symptoms, Risk Factor And Safety Precautions

lungs cancer k alamaat, risk factor or  hifazati tadabeer in urdu
  lung cancer risk factor
lung cancer symptoms
causes of lung cancer

Ladies k muqablay mein gents mein lungs cancer mein mubtala honay ka khatra 250% ziyada hota hai. Taham America mein 1984 mein  har 1 lack afrad mein 586 afrad k muqablay mein ab is cancer ka khatra 981 afrad hogaya hai.
America mein ab bhi lungs cancer har saal 92000 afrad ko mot ki nazar kar deta hai. Prostate cancer se marnay walo ki yearly quantity 30000 se zaid hai.

Lung Cancer K Alamaat:

 Mustaqil khansi rehti hai. Seenay mein dard rehta hai. Pneumonia bar bar hota rehta hai. Kabhi kabhi khansi bohat shiddat ikhtayar kar leti hai.

Lung Cancer Risk Factor:

100 mein se 50 case cigarette noshi k bai's hoti hein. Jo log cigarette nahi peetay magar cigarette peenay walo k qareeb hotay hein inhen bhi ye cancer daboch sakta hai. Rozana 2 packet cigarette peenay walo mein lungs cancer ka khatra ziyada hota hai. Tabkari, Sanati idaro k kachray, fizai aaloodgi or chand deegar awamil is cancer ko parwan charhanay mein important kirdar ada kartay hein.

Hifazati Tadabeer:

Cigarette noshi mukammal tor par tark kar dijiye. Lungs cancer mein sab se ziyada khatarnak baat ye hai k is ki alamaat is waqt zahir hoti hein, jab marz doosray teesray darjay mein dakhil ho chuka hota hai.

Ghareebi Or Tangdasti Door Karnay Ka Amal

Ghareebi Or Tangdasti Door Karnay Ka Amal

ghareebi or tangdasti door karnay ka amal

Jo shakhs ghareeb ho or us ka hath kharch k muamlay mein tang rehta ho to usay chahiye k baad Namaz-e-Isha ba Wuzu Surah Muzammil Para # 29, 11 martaba parhay. Surah Muzammil parhnay se pehlay 11 martaba Duroodh Sharif parhay. Surah Muzammil parhtay waqt  jab Fattakhizu Wakeela par pohanchay to 25 martaba ye kalmaat parhay “Hasbunallahu wa ni`mal Wakil'. Is amal ki barkat se ghar se ghurbat or tangdasti ka khatima hoga or rozi mein barkat peda hogi. Shart ye hai k ye amal rozana bila nagha karay or pabandi se karay ga to is ka phal paye ga.

Fikar Or Tangi Muash Se Nijat

Namaz-e-Fajar k foran baad sooraj nikalnay se pehlay Subhan'Allahi Wabi Hamdihi , Subhan'Allahil Azeem 100 martaba parhna apna mamool banaye. Insha Allah us ki muashi halat tabdeel ho  jaye gi or karobar mein barkat aaye gi. Is amal ko mamool banaye rakhein.

Durood-e-Ghousia K Fazail-o-Barkaat

Durood-e-Ghousia K Fazail-o-Barkaat

Durood e Ghousia benefits in urdu
Durood e Ghousia in Arabic
Durood e Ghousia benefits

Jo shakhs rozana Durood Ghousia ko kam az kam 1 martaba parhay ga usay 7 nematain hasil hongi.
1. Rizq mein barkat
2. Tamam kaam asan ho jayengay.
3. Naza k waqt Kalima  naseeb hoga
4. Jan kani ki sakhti se mehfooz raha ga.
5. Qabar mein wusat hogi.
6. Kisi ki mohtaji nahi hogi.
7. Makhlooq e Khuda us se mohabbat kare gi.

Bladder Cancer Ke Alamat Or Hifazati Tadabeer

Symptoms And Prevention Of Bladder Cancer

bladder cancer kiya hai, bladder cancer k alamat, hifazati tadabeer for bladder cancer
Bladder cancer bohat tezi se panap raha hai magar hosla afza baat ye hai k agar ibtadai darjay mein pata chal jaye to mot se bachnay k imkanat 87% se zaid hotay hein. 50 say 70 saal ki age d doran is cancer ka attack bohat shadeed hota hai.

Bladder Cancer Ke Alamat: 

Urine bohat aata hai or is mein khoon bhi aata hai. Khatra lahaq rehta hai. United States Of America mein cigarette noshi se is cancer k cases mein hazaro ka izafa ho raha hai. Shehro mein jo log industrial units k aas paas rehtay ho wo chemicals, rubber or leather k factories se nikalnay wlay fuzlay k bai's is cancer mein mubtala ho jatay hein.


Bladder Cancer Ki Hifazati Tadabeer:

Cigarette noshi tarak karein or urine mein blood aatay hi doctor se rabta qaim karein.