Ajwa Khajoor Ke Fawaid

Benefits Of Ajwa Dates In Urdu

ajwa khajoor ke fawaid in urdu


benefits of ajwa khajoor in urdu

benefits of ajwa khajoor

benefits of ajwa dates in urdu

Ahadees ke mutabiq dunya mein agar jannat ka koi phal mojood hai to wo ajwa khajoor  hai. Bohat si Ahadees ke mutabiq is mein jadu se nijat, zehar se nijat, aankho ke amraz, junoon, pagal pan ya nafsiyati amraz se nijat, dard-e-sar or dil ke amraz se shifa hi shifa hai. In sab se barh kar yeh dunya mein Jannat ka wahid phal or Nabi Pak (P.B.U.H) tareen cheez hai  jis ka darakht Aap (P.B.U.H) ne apne daste mubarak se lagaya tha. Or aaj bhi yeh Madina Munawar ki umda tareen, intihai lazeez khajoor  hai.

Aap (P.B.U.H) ne farmaya: Ajwa Jannat se hai or is mein junoon se shifa hai, ajwa Jannat ki khajoor hai, Ajwa Jannat ka mewa hai.

Abdullah Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai tamar ki qismo mein mehboob tareen Rasool Allah (P.B.U.H) ke nazdeek ajwa thi.

Zameen par Jannat ki cheezo mein se 3 cheezo ke ilawa kuch nahi!
1. Ajwa khajoor ka darakht.
2. Hajr-e-Aswajd
3. Or wo barkat ki miqdar kaseer jo rozana Jannat se darya e furat utarti hai.


No comments:

Post a Comment