Yogurt For Face Whitening

 Yogurt For Face Whitening

yogurt for face whitening

yogurt for face whitening
yogurt for face whitening

Dahi Se Jild Gori Aur Khoobsurat Banane Ke Totke:

Dahi protein, calcium, vitamins aur probiotics se bharpoor ha. Ise 1 sehat bakhsh ghiza k tor par istemal kiya jata hai jis se jism ko bepanah fawaid hasil hote hein. Jism ke deegar aezaa ke sath sath ye jild ki sehat ke liye bhi behad mufeed ha. Dahi mein lactic acid mojood hota ha jo jild ko jawan aur fresh rakhta ha is se jild naram o mulaim ho jati ha. Dahi se keel muhase bhi khatam hote hein aur rangat saaf hoti ha. Dahi ko is ki khalis aur asal shakal mein istemal kiya jaye to is mein mojood ghizai ingredients jild ko pur kashish aur healthy bana dete hein.
Jild ke husn o dilkashi ke liye khane ke ilawa chehre par bhi istemal kiya ja sakta ha. Jild ko khoobsurat banane ke liye dahi ko mandarja zel tariko se istemal kar ke dekhen.

Yogurt For Skin Whitening:

Jild par dahi ke regular use se skin chamakdar ho jati ha aur jhaiyan door ho jati hein. Skin whitening ke tor pr dahi ko istemal karne ke liye 1 se 2 chote spoon dahi mein chand drops lemon ya orange juice shamil karein. Lemon ya orange juice mein mojood citric acid skin ko natural beauty provide karega.

Homemade Yogurt Moisturizer:

Jild ko naram mulaim banane ke liye 4 bare chammach dahi mein 1 chota chammach coco powder aur 1 chota spoon honey shamil karein. Ab is mask ko chehre par 20 minute ke liye laga lein phir halke garam pani se face wash kar lein.
iske ilawa dahi mein masoor ki daal ka powder aur oranger ke chilkon ka mixture hum wazan mila kar lagaya ja sakta hai. Ise 15 minute ke liye laga rehne dein. Agar skin ziyada dry ho to thora honey bhi add kar lein. Jild naram hone ke sath sath chamakdar bhi ho jayega. 

Homemade Yogurt Scrub:

Dahi se 1 zabardast scrub tayyar kiya ja sakta hai. Dahi mein mojood scrubbing khusoosiyat ki waja se iska massage karne se jild ke dead cells saaf ho jate hein. Dahi mein chawal ka powder mila kar garha sa paste bana lein. Is se face par round mein massage karien. Thori dair massage karne ke baad thanday pani se wash kar lein. Chawal ki jaga jo ka aata bhi shamil kiya ja sakta hai.

How To Get Rid Of Acne With Yogurt:

Jild se keel muhase khtam karne ke liye sirf dahi bhi istemal kya ja sakta hai. Dahi ka garha sa paste chehre par laga kar 20 minute ke liye chor dein. Kuch dair baad moo dho lein. Dahi ke paste mein haldi powder, sugar aur sandal powder bhi shamil kar sakte hein. Is paste se jild ka massage karein. 15 minute baad cold water se face wash kar lein.

Yogurt For Dark Circles:

Thakan ki waja se aankhon ke neeche halke par jate hein. Inko door karne ke liye dahi ki patli se layer aankhon ke neeche laga dein. Halki se khushk ho jane par cotton ki madad se ponch lein aur so jayen. Is amal ko 1 week tak daily sone se pehle kar ke dekhein aap ke dark circles khatam ho jayengay.

No comments:

Post a Comment