Health Benefits Of Garlic Milk

Health Benefits Of Garlic Milk

health benefits of garlic milk

Lehsan aur doodh ke fawaid se koi zee shaoor insan inkar nahi kar sakta lekin agar aap in dono cheezon ko mila kar use karein gay to aap ke jism mein herat angez tabdeelia aayengi aur aap kai khatarnak beemario se bach jayengay. Aaye aap ko lehsan wala doodh banane ka tarika batate hein.

Ingredients:
Half liter milk       Lehsan ki 10 toria cheeli hui
2 se 3 spoon sugar    250 ml pani

Method:
Pani aur doodh mila kar boil kar lein aur is mein lehsan daal dein aur sath hi choolhe ki aanch dheemi kar dein. Tab tak doodh ko pakne dein jab tak doodh ki miqdar aadhi na reh jaye, is mein cheeni dalein aur garam garam nosh karein. Is doodh ki waja se aap ko dil ki beemario se nijat milega. Jin logon ko cholesterol ka masla darpesh ha un ke liye ye doodh bohat hi mufeed sabit hoga. Isi tarah jin logo ko asthma ka masla ha unhein garlic milk zaroor peena chahiye. Is ki waja se mudafati nizam behtar tarike se kaam karega aur sath hi aap ko be khuwabi, khansi, tb aur joron ke dard se nijat milegi. Jin logon ko stomach ka masla dar pesh ho un ke liye ye bohat hi mufeed ha aur iski waja se qabz, jalan, gas aur acidity se nijat milegi.

No comments:

Post a Comment