Anemia Ka Ilaj

Anemia Ka Ilaj

anemia ka ilaj in urdu

Khoon ki kami ko door kar ke naya khoon paida karne ke liye ye 1 akseer nuskha ha. Insani jism mein anemia ki 400 wajoohaat hein. In mein se kuch ye hein. Kisi chot lagne se khoon kam ho jana. Hath paon ka thanda ho jana, red cells ki kami, smoking red cells ki dushman ha. Jigar aur gurday ki kharabi ki waja se bhi khoon ki kami ho jati ha. Zehrile mawad ki ziyadti khoon ke red cell khatam karti ha.
Nai jawani paida karne wala naya khoon paida karne wala ye 1 akseer nuskha ha. Jin logo ko aesabi ya jismani kamzori ki waja se hath paon thanday ho jate hein wo lazmi use karein. Insha Allah lazmi shifa o sehatyabi hogi.
Burada folad 20 gram, gandhak aamla sar 60 gram, noshadar 60 gram, post haleela half kg, post amla half kg, mujeeth half kg, sugar 2 kg in tamam ingredients ko bareek koot kar safoof bana lein aur sugar ko baad mein mix karein achi tarah mix kar ke kisi dabbe mein rakh lein aur rozana nihar moo 1 spoon fresh pani ke sath kha lein aur is ke 1 hour ke baad breakfast karein.
Anaemia ko poora karta ha aur naya khoon banata ha. Kamzor stomach ko sehatmand banata ha aur aesabi kamzori ko door karta ha. Chehre par tazgi aur nikhar lata ha. Khawateen mein hamal ki kamzori aur doodh ki kami ko khatam karta ha aur jismani aur jinsi sehat ke liye lajawab cheez ha.
Note: Ye khoon paida karne ke liye 1 akseer nuskha 100% result deta ha. Is nuskhe ko 1 month use kar ke chor dein.

No comments:

Post a Comment