Washing Machine Mein Pak Aur Napak Kapray 1 Sath Dhona

Washing Machine Mein Pak Aur Napak Kapray 1 Sath Dhona

pak aur napak kapray 1 sath dhona

Washing machine, normal washing machine, bucket ya tub waghera mein pak aur napak kapray 1 sath dhona munasib nahi. Kiyounke pak aur napak kapray 1 sath dhone mein paak kapray bhi napak ho jate hein. Is liye pehle napak kapron ki napak door kardi jaye ya 3 baar saday pani mein inhein khangaal kar achi tarah nichor diya jaye us ke baad sab kapray 1 sath dhoye jayen aur agar kisi ne aap aur napak kapray automatic washing machie mein 1 sath dhoye to pak aur napak kapray is waqt tak pak na hongay jab tak sab kapray bahar nikal kar teen martaba achi tarah khangaal kar nichor na liye jayen ya machine mein kapron se surf ka pani nikalte waqt khoob ziyada miqdar mein dair tak pani chalaya jaye takay napaki ke tamam asraat pooray tor par nikal jayen.

No comments:

Post a Comment