Har Kisam Ki Bimari Aur Jadu Se Nijat Ka Behtareen Aur Mujarrab Wazifa

Har Kisam Ki Bimari Aur Jadu Se Nijat Ka Behtareen Aur Mujarrab Wazifa

Har Kisam Ki Bimari Aur Jadu Se Nijat Ka Behtareen Aur Mujarrab Wazifa

Agar aap kisi aesi beemari mein mubtala ho gaye hein jis ka tarah tarah ka ilaj karwane ke bawajood bhi aap ko shifa nahi mil rahi aur aap ke tamam reports bhi clear aa rahe hein to rozana baad Namaz e Fajar 7 martaba bawuzu halat mein Surah Fatiha parh kar 1 glass pani pr dam kr ke nihar moo pee liya karein aur raat ko baad Namaz e Isha sote waqt bawuzu halat mein Surah Falaq aur Surah Nass 7, 7 martaba parh kar 1 glass pani mein dam kar ke pee liya karien. Mareez ko koi doosra shakhs bhi water par dam kar ke day sakta ha. Ye amal lagatar 40 days tak karna ha. Lagatar 40 din amal karne ki barkat se Insha Allah marz ho ya jadu bilkul khatam ho jayega. Ladies makhsoos ayam ki halat mein ye amal nahi kar sakti, khawateen chahein to paak hone ke baad 40 din ki ginti poori karein ya makhsoos ayam ki halat mein kisi aur se pani par dam karwa kar pani piye.

No comments:

Post a Comment