Uric Acid Ka Gharelu Ilaj

Uric Acid Ka Gharelu Ilaj

uric acid ka gharelu ilaj

Uric acid bohat hi khatarnak cheez ha aur iski waja se kai logon ka chalna phirna bhi do bhar ho jata ha. Kuch logo mein to ye is qadar barh jata ha ke sozish aur be intaha dard ki waja se wo apni zindagi bhi normal tarike se nahi guzar sakte. Aaye aap ko uric acid ki wajoohat aur is ke ilaj ke tarike batate hein.
Uric acid barne ki kai wajoohat hein jin mein blood pressure, motapa, khoon ki kami aur chanbal shamil ha. Jab uric acid bohat ziyada barha jata ha to ye joron mein ghatya banata ha jis ki waja se dard mein shiddat aane ke sath joron, heels aur knees mein sozish aane lagti ha. Health expert ke mutabiq kehna ha ke jab hum aese khane jese red meat ki miqdar barha dete hein to uric acid barhne lagta ha. Aesi condition mein aap ko chahiye ke apnay khane mein ahtiyat karein aur ziyada se ziyada pani piyen ke urine ke raaste uric acid nikalne lage ga aur jitna ziyada peshab aaye ga itna hi ye problem jald hal hoga.

Uric Acid Ko Kam Karne Ke Gharelu Totke

* 4 carrots, 1 mango, 1 pineapple ka piece, 30 gram strawberries aur 1 lemon juice mix karien. Har subah khali pait ye mashroob piyen aur agr ziyada masla darpesh ho to raat ko sone se pehle bhi liya ja sakta ha.
* 1 liter water mein half onion ko 3 minute tak boil karein aur 5 minute tak thanda hone ke baad piyen. Ye mashroob din mein 3 baar use karein, agar taste acha na lage to is mein honey bhi milaya ja sakta ha.
* 1 makai ki chilli 1 glass pani mein daal kar 10 minute tak boil karein, thanda hone par pani ko chaan kar pee lein. Ye mashroob din mein 3 baar use karein.
* Tomato ko peesein aur is ka juice pee lein. Apne kahne mein tomato ki quantity ko bhi barhaya ja sakta ha.
* Rosemary oil ke 3 spoon ko 1 spoon soyabean mein mix kar ke mutasira jaga par malish karne se bhi dard mein kami aayegi.

No comments:

Post a Comment