Heart Attack Symptoms Warning Signs In Urdu

Heart Attack Symptoms Warning Signs In Urdu

Heart Attack Symptoms Warning Signs In Urdu

Insan ka jism heart attack se 1 month qabal balke is se bhi pehle khabardar karna shru kar deta ha.
Bartanwi Tibbi Mahireen ne kaha ha ke thakawat aesi alamat ha jo 70# heart attaack ki shikar ladeis mein kai week pehle hona shru ho jati ha. Ghair mamooli had tak jismani thakawat heart attack ki janib se ishara karti ha aur mard o khawateen dono mein ye nazar aa sakti ha. Agar ye thakawat kisi jismani ya zehni sargarmi ka natija na ho aur wo din ke ikhtatam par is mein izafa ho to is par tawajja markooz ji jani chahiye.
50% heart attack ke waqiyat mein pait ke dard ki alamat kuch arsay se pehle samne aai, stomach pain, dil matlana, pait phoolne ya motion waghera several aam alamat hein. Heart attack se qabal pait ya maiday mein dard kuch ajeeb sa hota ha yani kabhi hota ha aur phir aram mehsoos hone lagata ha. Mardo ke muqably mein ladies mein be khuwabi ki shikayat ziyada nazar aati ha jise Tibbi mahireen heart attack ya falij waghera ke barhte khatre ka indiya qarar dete hein. Raat ko neend na aane ke saath shadeed noyiat ki zehni be chaini aur ghair hazir dimagh ka samna ho to ye tashweeshnak ho sakta ha.
Expert ke mutabiq 40% cases mein saans ka ghutna jesi alamat saamne aati ha, yani saans lene mein mushkil ye mardo aur ladies ke andar heart attack  se 6 month qabal bhi aksar samne aati ha, ye aam tor par 1 intabahi alamat hoti ha ke Doctor se consult kiya jana chahiye. Is ke ilawa balon ka tezi se girna bhi amraze qalb ki 1 wazeh alamat ha.
Aam tor par ye 50 year se zaid age ke mardo mein ziyada nazar aati ha magar kuch ladies mein bhi ye samne aati ha. Dil ke dharkan mein be tarteebi dil ke dharkan mein be tarteebi aksar panic attack aur zehni be chaini ke sath hamla awar hoti ha, khas tor par ladies mei ye achanak hamla kartiha.
Agar dil ki dharkan mein tezi 1 se 2 minute tak barqarar rahe aur is mein kami na aaye, is ke ilawa dharkan ki speed mein kami beshi se ghashi aur tiredness mehsoos hona is baat ki alamat ha ke Cardiologist se consult karna chahiye. Ghair mamooli ya bohat ziyada paseena aana bhi heart attack ki 1 ibtadai intabahi alamat ha.

No comments:

Post a Comment