Surah Rehman Ka Wazifa

Surah Rehman Se Ilaj In Urdu

Surah Rehman Ka Wazifa

Medical science hepatitis ke amraz se mutaliq mayoosi ka shikar ho chuki ha. Dunya mein is waqt hepatitis ke marz mein mubtala mareezo ke registered tadad 40 crore ha. Jabke Pakistan mein registered mareezo ki tadad 2 crore se tajawuz kar chuki ha.
Aesay mein medical science ki be hisi insani zehan aur society ki tabahi ka pegham de rahi ha, magar Surah Rehman ke sunne se ye marz chand hi ayam mein wajood se aesay ghaib ho jata ha jesay kabhi is ka naam o nishan hi na tha. Surah Rehman ke zariye logo ke zehni, jismani aur rohani beemario ka yaqeeni ilaj hota ha. Surah Rehman ki Quran Therapy ke zariye la ilaj mareezo ka kamyab ilaj ho chuka ha balke bohat se logo ne bataya ke Surah Rahman sunne se in ki bohat si pecheeda beemariya khatam ho gayi hein. Jab koi mukammal tor par apni tawaja Surah Rehman ki taraf karke tilawat sunta ha aur apni aankhen band karta ha.
Surah Rehman ki har ayat sunne ke sath is ke jism ke andar 1 hararat paida hoti ha aur jab Surah Rehman ki tilawat sunne ke baad wo aadha glass pani peeta ha to wo is tarah mehsoos karta ha ke jis tarah angaron ke upar pani dala jata ha. Surah Rehman ke in mushahido ka jab Norway mein pata chala to Norway Oslo se Prime TV se ye program poori dunya mein dikhaya gaya aur Surah Rehman ke program ki afadiyat ne poori dunya ko chonka diya hai.
Inhon ne kaha ke jo log dukhi, uljhan ya zehni kurb mein mubtala ho, wo Surah Rehman ki tilawat din mein 3 martaba continue 7 din tak sunein. Tamam beemario ka ilaj Quran ki Ayat mein mojood ha agar hum in Ayat ko ghor se sunein. Is ke zariye cancer, falij, sugar, heart attack aur doosray beshumar amraz ka ilaj kiya ja chuka ha. Guzishta 7 8 years se Pakistan ke different cities Peshawar, Lahore, Multan, Quetta, Islamabad mein hazaron mareezon ka ilaj ho chuka ha.
Dunya ki har bimari ka ilaj Surah Rehman ki tilawat sunne se mumkin ha is liye logon ko chahiye ke Surah Rehman 7 din tak sunein to unki tamam beemari khatam ho jayegi.

No comments:

Post a Comment