Ramzan Mein Namaz e Asar Ke Baad 30 Baar Surah Kausar Parhne Ka Faida

Ramzan Mein Namaz e Asar Ke Baad 30 Baar Surah Kausar Parhne Ka Faida


Quran Kareem ki 1 choti si Surat Surah Kausar jo 3 Ayat par mushtamil ha aur Ramzan ul mubarak mein is ka parhna bohat hi ziyada ajar o sawab ka kaam ha. Is Surat ko Ramzan mein parhne ki itni fazilat ha ke is ka aap andaza nahi laga sakte. Ramzan mein jo isko parhe ga usay akhirat mein to is ka ajar milega aur sawab milega lekin dunya mein jo isay faida milega wo alag hai. Nazireen Surah Kausar Namaz e Asar ke baad 30 baar agar aap parh lein to is se hazaron naikio ka izafa hota ha, kiyounke Quran Kareem ka 1 haraf agar aap aam dino mein parhein to 10 naikio ka sawab milta ha aur Ramzan ul Mubarak mein 1 naiki ka ajar 70 gunah barha diya jata hai. Yani 1 haraf parhne par aap ko 70 naikiya milengi. Is Surat mein 3 Ayaat hein aur 38 alfaaz hein.
Aur dunya mein is ka sab se pehla faida ye hoga ke marte waqt Kalma Tayyaba naseeb hoga jo 1 Musalman ke liye bohat bara khazana ha. Aur doosra faida aap ke maal mein barkat hoti ha maal kabhi khatam nahi hota. Teesra faida jin talib ilmo ka hafiza kamzor ha is amal se un ka hafiza bohat tez ho jayega. Jin logon ke chehre par daagh dhabbe hote hein wo Namaz e Asar ke baad 30 baar parh kar apnay hathon par dam kar ke chehre par pher dein to  Insha Allah bohat jald daagh dhabbe khatam ho jayengay. Nazireen ye amal aap Ramzan ul Mubarak ke ilawa bhi aam dino mein bhi kar sakte hein aur is amal ki ijazat aam ha yani is amal ke liye kisi se ijazat lenay ki zaroorat nahi. Nazireen ho sakay to rozana ye amal karein agar roz nahi kar sakte to jab bhi aap ko time milay zaroor karein lekin haftay mein 1 baar ye amal zaroor karein. 

No comments:

Post a Comment