Hazrat Ali R.A Ka Bataya Huwa Depression Se Nijat Ka Tarika

Hazrat Ali R.A Ka Bataya Huwa Depression Se Nijat Ka Tarika

depression se nijat ka tarika
depression se nijat ka wazifa

Islam mehez 1 mazhab nahi balkay mukammal zabta hayat ha. Zindagi ka koi aesa pehloo nahi jis ke mutaliq is deen e saleem ne insan ki rehnumai na farmai ho. Hatta ke kai tarah ke moozi amraz ka ilaj bhi hamein Islami taleemat se milta ha.
Depression bhi inhi beemarion mein se 1 ha jis ka intahai asan ilaj Hazrat Ali R.A aaj se 1500 saal pehle bata gaye hein. Hazrat Ali R.A ka qol ha ke jo koi gham mein mubtala ho aur us gham ki waja bhi use maloom na ho wo us gham se nijat pane ke liye apna sar dhoye.
Deen e Islam ne safai ko nisf Iman be waja qarar nahi diya. Is se insan ko beshumar beemarion se nijat milti ha. Baharul Anwar hi mein Hazrat Ali R.A ka aik aur qol ha ke saaf suthra libas pehenne se gham aur pareshani door hote hein. Hazrat Ali R.A ka 1 aur qol ha ke dunyawi khuwahishat gham aur zehni pareshani ka sabab banti hein jabkay in par qabool palene se insan ko dili sukoon naseeb hota ha. Aaj hamari depression ki sab se bari waja hamari dunyawi khuwahishat hi hein jo waqt ke sath sath barhti chali jati hein.
Agar hum Hazrat Ali R.A ke is qol par amal karte hue apni khuwahishat par qabool pana seekh lein to hamein yaqeenan depression se nijat mil jaye gi. Is ke ilawa Hazrat Ali R.A se mansoob riwayat mein ye bhi bataya gaya ha zehni pareshani se chutkara pane ke liye angoor khana bhi behtareen ha.

No comments:

Post a Comment