Amlok Ke Fawaid In Urdu

Amlok Ke Fawaid In Urdu

amlok ke fawaid in urdu
Persimmon ki ziyada production China mein hoti ha jabke ise Chinese Ya Japanese Fruit ke naam se bhi jana jata ha. Pakistan mein ise amlok ke naam se jana jata ha is japani phal ki taseer thandi hoti hai is mein minerals, phosphorus aur calcium jabke vitamins A or C shamil hote hein. Amlok ke beshumar fawaid hein lekin kuch amlok ke fayde darj zel hein.

Persimmon Benefits For Weight Loss:
Darmiyane size ke 128 gram Japanese phal mein 31 gram carbohydrate mojood hote hein jabke is mein fats na hone ke barabar hote hein jis ki waja se ye phal weight loss ke khuwahish mand afrad ke liye mufeed hota ha.

Persimmon Benefits For Skin:
Is phal ke chilke mein naturally barhti umar ke asraat se bachane ki ability hoti ha yani ye phal anti aging fruits mein se ha kiyounke is ke chilke mein mojood phytochemical skin par hone wali barhti umar ke asrat se bachata ha.

Persimmon Health Benefits In Urdu:
Amlok mein mojood fiber hazma behtar banate hein apni qabz kusha ability ki waja se ye logo ke liye behtareen ha jo constipation mein mubtala rehte hein ya liver disease ka shikar hein. Peshab awar hone ki waja se ye pani ki shikayat door karta ha aur peshab ki miqdar ko barhata ha is mein mojood potassium ki mojoodgi peeshab ke zariye important minerals ko zaya nahi hone deti lekin is mein mojood sugar aur fructose ki wafir miqdar body ko energy provide kar ke depression aur susti ke asraat ko khatam kartiha. Sports ya physical activities mein hissa lene wale logon aur bacho ke liye behtareen ha. Is fruit ko mardana taqat ke liye bhi behtareen samjha jata ha wo mard jo mardana kamzori ka shikar ho wo jab season ho to amlok lazmi use kiya karein.

No comments:

Post a Comment