Har Pareshani Or Museebat Se Nijat Ka Amal


har pareshani or museebat se nijat ka amal
har pareshani or museebat se nijat ki dua
har gham or pareshani se nijat ka wazifa

Insan jab subah ghar se office ya business ya phir kisi aur kaam se bahar nikalta hai to shaitan bhi apnay hawariyon samet uske sath ho leta ha aur us ke liye masaib aur gunah ki rahein hamwar karta rehta ha. Rohani tehqeeq karon ka kehna ha ke agar koi insan ba wuzu hokar ghar se bahar nikle to teesra kalma parhna shru karde.
Shru karnse se pehle Bismillah Shareef aur Darood e Khizri parh le. Kam az kam 11 baar to lazmi ye Kalma Pak parhna wateera bana le, insaan driving karte ya transport mein safar ke doran bhi zere lab ya dil mein teesra kalma ka wird jari rakh sakta ha. Ye amal aesa mujarrab ha jo insan par mushkilat taal deta ha aur uske liye asaniya paida ho jati hein.
Buzurgane Deen is Kalma ki tasbeeh karte karte marifat ki manazil tay kar gaye. Aaj bhi tasawuf ki rah pr chalne ki khuwahish rakhne walay is Kalma Pak ka wird karte hein. Jo log balaenaur dushmano ki khatarnak chalon se bachna chahte hein aur jin ke karobar mein rukawatein paida hoti ho wo is kalma ki tasbeeh apna mamool bana kar rakhein, Insha Allah Rabbul Azeem hamio Nasir hoga.

No comments:

Post a Comment