Gharelu Nachaki Be Barkati Nahoosat Aur Beemarion Se Nijat Ka Amal

Gharelu Nachaki Be Barkati Nahoosat Aur Beemarion Se Nijat Ka Amal

gharelu nachaki be barkati nahoosat aur beemarion se nijat ka amal

Ghar mein nachaki, be barkati nahoosat or beemarion ki 1 waja is ghar mein shaitan o jinnat ka basera bayan ki jati ha. Ulma ka kehna hai ke jis ghar mein Allah ka zikar na kya jaye wahan shaitan basera kar leta hai or apni aulad mein izafa karta rehta hai, shaitan jinnat ki makhlooq mein se hai lehaza agar koi chahta hai ke is ke ghar mein Allah ki rehmat ho to wo Namaz o ibadat ka ahtamam lazmi karein. Is hawalay is 1 aesa amal intahai kargar ha jo jinnat o shayateen ki dorein lagwa deta hai wo amal ha Azan. Jis ghar mein aesay masail janam lete ho wo har Juma ke roz Namaz e Isha ke baad or Namaz e Fajar se pehle azan diya karein. Azan ki awaz sunte hi e badi ki makhlooq bhag nikalti hai. Rasool Kareem Peace Be Upon Him ka farman ha "Azan ki awaz sun kar shaitan peeth pher kar bhag jata hai azan ke baad phir wapas aa jata ha or Namazion ke dil mein tarah tarah ki batein dalta hai. Yahan tak ke Namaz parhne wala bhool jata hai ke is ne kitni Rakat Namaz parhi or kiya parha" Azan ki awaz sun kar shaitan ke bhagne ka sabab ye hai ke wo is baat se bachna chahta hai ke azan ki awaz sun kar qayamat ke din gawahi na deni pare. Huzoor Peace Be Upon Him ne farmaya hai ke qayamat ke din jin o insan or zameen ki har wo cheez jo azan ki awaz sune gi gawahi day gi. Jinnat o shayateen ko choonke azan giran guzarti hai is liye jis ghar mein Azan di jaye gi wahan ye makhlooq mustaqil nahi theher sakti.
Amileen Azan ki madad se aesay ghareon se badi ki makhlooq ko maar bhagate hein aur ye amal koi aam Muslim bhi khuloos e niyat or pakeezgi se karta rahe to Insha Allah shaitan is ghar se koson door bhage ga.

No comments:

Post a Comment