Ghar Ko Jannat Banane Wala Amal

Ghar Ko Jannat Banane Wala Amal

ghar ko jannat banane wala amal

Nazireen agar aap ke ghar mein larai jhagra rehta ho, ghar ke afraad mein na ittifaqi ho or ghar mein be barkati ho to aaj hum aap ko aesa Wazifa batayengay jis ke karnes se Insha Allah ghar Jannat ban jaye ga. Larai jhagre khatam ho jayengay ghar ke afraad mein ittifaq paida hoga or rizq mein barkat hogi.
Rozana raat ko sone se pehle aap ye Wazifa parh liya karein Insha Allah aap dekhengay gay aap ka ghar Jannat ban jayega. Is Wazifa ki ijazat aam ha. Sab se pehle to 5 waqt Namaz ki pabandi karein. Raat so sonay se pehlay Surah Yaseen ki Ayat # 58 ko 101 dafa parhein awal aakhir 11, 11 martaba Durood Shareef parhein. Is amal ki koi muddat nahi hai aap ye amal 20 din bhi kar sakte hein or 1 mahina bhi kar sakte hein lekin jis tarah har shakhs chahta hai ke ghar mein sakoon or barkat ho to is amal ko apni zindagi ka hissa bana lein or ladies makhsoos ayam mein ye amal na karein.

No comments:

Post a Comment