Achi Job Ke Liye Wazifa
achi job ka wazifa
Nazireen aaj hum aap ko achi nokri ke liye 1 behtareen Wazifa batayengay jis se Insha Allah aap ko bohat jald achi nokri mil jaye gi. Sab se pehle 11 bar Durood Shareef parhein phir 313 martaba Ya Allahu Ya Basitu parhein aakhir mein doobara 11 bar Durood Shareef parhein.
Roz ye amal karein kuch hi din mein Insha Allah aap ko achi nokri jald se jald mil jaye gi.
Surah Taubah ki aayat 129 rozana Fajr ki namaz ke baad 450 martaba parhain.
Awwal aur aakhir 7 martaba Durood e Ibrahimi bhi parhain.
Aakhir mein haathon ko uthakar dua karen:
"Ya Allah! Mere liye behtareen rozgar ka darwaza khol de, aur meri tamam rukawat ko door farma de."
Is wazifa ko 11 ya 21 din tak jari rakhein ya jab tak rozgar hasil na ho.
Mukammal yaqeen, sabr aur istiqamat ke saath amal karen.
Haram rozi aur be sabri se mukammal parheiz karen.
Qur’ani Ayat (Surah Taubah, Ayat 129):
Fa in tawallaw faqul hasbiyallahu la ilaha illa huwa
alayhi tawakkaltu wa huwa rabbul ‘arshil ‘azeem.


No comments:
Post a Comment