Mahe Safar Mein Nahoosat Ka Tasawwur

Mahe Safar Mein Nahoosat Ka Tasawwur

mahe safar mein nahoosat ka tasawwur
mahe safar hadees
mahe safar or nahoosat

Zamana Jahilyat mein log safar ke month ko manhoos kehte thay or is mah mein shaid nahi karte thay, or kehte thay ke is mah mein aasman se balayen utarti hein jo ke 1 ghalat or fuzool baat hai.
yehi haal aaj ki awam ka hai jo safar ke is mubarak month ko manhoos samajhte hein.
Safar ka mahina bhi mubarak hai jis ko Safar Ul Muzaffar kehe hein yani barkaton wala mahina ye mahina bhi doosre mahino ki tarah mubarak hai.

Hadees-e-Qudsi mein hai Allah Ta'la farmata hai, "Ibne Adam zamane ko bura bhala keh kar mujhe takleef deta hai halankay zamana to mein hi hoo nizame kainat mere hi hath mein hai."
 (Bukhari Shareef)

Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne farmaya ke "Koi marz mutaddi nahi hota or bad shaguni ki koi asal hai or na ullu mein nahoosat hai or safar ki nahoosat ki koi bunyad nahi."
(Sahi Bukhari, Jild 2,Page 857)

No comments:

Post a Comment