Neend Ko Aram Deh Banane Ke Tareekay

Neend Ko Aram Deh Banane Ke Tarike

neend ko aram deh banane ke taeekay
pur sukoon neend ka asan tarika
pur sukoon neend ki tips
Mukammal or pur sukoon neend qudrat ka sab se anmol tohfa ha. Raat ko kam az kam 7 se 8 hours zaroor soyen or agar na so saken to din mein half ya 1 hour zaroor qelola karein.
Sone se pehlay tea ya cold drinks waghera se perhez karein.
Raat ko khane or sonay ke darmiyan kam se kam 2 hours ka waqfa rakhein.
Raat ko halka phulka khana khayen jo jald hazam ho jaye. Chiknai se bharpoor ghiza hazam hone mein ziyada waqt leti ha or aap ki aram deh neend mein hail hoti ha.
Agar neend na arahi ho to apnay body ko kisi halki phulki exercise se pur sukoon halat mein layen. Yoga ya is jesi halki phulki exercise aap ke tanao aamez uzlaat or joron ko aram pohanchanay mein madad de sakti ha taham yaad rahein ke ye kaam sene se kafi pehlay hona chahye takay body sone ke waqt tak achi tarah pur sukoon ho jaye.
Sonay se pehlay zehan par kisi qisam ki pareshani ya dabao musallat no hone dein.
Daily raat ko neem garam milk piyen kiyounkay milk mein 1 natural chemical wafir miqdar mein paya jata ha jo body mein neend awar hormones serotonin banne mein madad deta ha. Aap jis qadar pur sukoon neend lein gay aap ki rangat mein usi qadar nikhar aaye ga.

No comments:

Post a Comment