Khushki Khatam Karne Ke Gharelu Totkay

Khushki Khatam Karne Ke Gharelu Totkay

Khushki khatam karne ke gharelu totkay
totkay for dandruff in urdu
khushki sikri ka ilaj

Haftay mein kam az kam 1 bar egg ko khoob phent kar balon mein lagayen. Is ko neem garam pani se dho lein. Aap ko shampoo ya soap se dhonay ki zaroorat nahi kiyounkay egg mel kuchail or khushki ko nikal deta ha.
Apna sar dhonay se pehlay balon mein khoob achi tarah comb karein takay khushki ke zarrat alag ho jayen.
Aap dahi mein thora sa meetha daal kar sar par khoob malein phir half hour baad naha lein. Khushki door karne ke liye ye bohat mufeed nuskha ha.
Lemon ka arq 2 spoon, kali mirch 1 spoon. Lemon ke arq mein kali mirch shamil kar ke balon ki jaron mein raat ko lagayen. Subah uth kar shampoo kar lein. Khushki sikri se nijat mil jaye gi.
Curd mein sarso ka oil mila kar lagane se bhi ye masla hal ho jata ha.
Methi ke beej raat bhar bhigo kar subah pees lein or neem ke leaves ko boil karke is pani mein methi ke beej ka paste mix kr lein or lgayen.
Khushki se nijat ke liye 2 chuqandar lekar is ka juice nikal kein. Isi miqdar ka half lemon juice is mein mila lein. 1 chamcha is mein castor oil milayen. 2 hafto tak har teesray roz is ka massage karein.
Gandhak pani mein milar kar balon mein lagai jaye to balon mein sikri hamesha ke liye khatam ho jati ha.

No comments:

Post a Comment