Lehsan Ke Insani Sehat Par Asraat

Lehsun Ke Insani Sehat Par Asraat

lehsun ke insani sehat par asraat
health benefits of garlic

Lehsan qudrat ka 1 zaiqadar tohfa  ha. Is ka use sehat par intahai mufeed asraat murattab karta ha. Lehsan agar khane mein shamil na ho to khane ka maza dobala nahi hota. Lehsan se khoon mein cholesterol level kam hoti ha or hypertension mein kami aati ha. Lehsan khane se body mein hydrogen sulfide ki farahmi bazahir barh jati ha. Yehi waja ha ke lehsan ke use se kai qisam ke cancer se mehfooz rehne mein madad milti ha. Lehsan aanto mein paye jane wale bacteria ko tor kar zukam or influenza se mehfooz rakhta ha. Asthma ki soorat mein ye seene ko taqat bakhshta ha. Lehsan hazma theek rakhta ha or maiday ke liye bohat mufeed ha. Subah nihar moo 1 joye kacha lehsan khane se dil ke amraz nahi hote. Lehsan khane ko zaiqa bakhshta ha or iska pickle bhi bohat lazeez hota ha. Expert ka kehna ha k lehsan ka daily use jism ko tandurusti backhshta ha.

No comments:

Post a Comment