Oontni Ka Doodh Qeemti Fawaid Ka Hamil

Oontni Ka Doodh Qeemti Fawaid Ka Hamil

oontni ka doodh qeemti fawaid ka hamil
camel milk benefits
benefits of drinking camel milk
oontni ka doodh ke fawaid

Oontni ke doodh mein vitamin C ki khasi miqdar pai jati ha jabkay vitamin garmi or khushk sali ke dino mein oontni ke doodh mein or ziyada barh jata ha. vitamin C quwate mudafiat ko behtar karne mein use hota ha. Shadeed garmi ke mosam mein vitamin C dhoop ki hiddat or loo lagne se bhi bachata ha. Oontni ke doodh mein vitamin C 23 mg per liter hota ha.
Oontni ke doodh mein vitamin, namkiyat, protein or fat ki 1 khasi miqdar mojood hoti ha. Aam tor par chotay bacho mein doodh se 1 khas qisam ki allergy or ishal ki si shikayat pai jati ha. Lekin oontni ke doodh ke use ye allergy bacho mein no hone ke barabar hoti ha is lie choti age ke bacho mein oontni ke doodh ka use is shikayat ke qaboo pane mein mufeed sabit hota ha.
Diabetes ke patients ke liye bhi camel milk qudrat ki janib se ata kardo kisi anmol tohfay se kam nahi kiyounkay is mein insulin ki khasi miqdar mojood hoti ha jo cow milk ke muqablay mein kafi ziyada ha insulin 1 harmone ha jo diabetes ke patients mein kam quantity mein banta ha or inhen ye harmone medicines ki shakal mein lenta parta ha. Diabetes ke in mareezo mein camel milk ka use 1 shafi ilaj ke tor par akseer ha.

No comments:

Post a Comment