Khoobsurti Ke Liye Badam Ka Istamal

Khoobsurti Ke Liye Badam Ka Istamal

khoobsurti ke liye badam ka istamal
advantages of badam
usage of almond for skin
badam benefits

Karway badam ki jild beemario ka shafi ilaj samjhay jatay hein, khaas tor par eczema mein, is maqsad ke liye karway badamo ki chand pattiya lekar inhen pees lein is mein thora sa pani or cream bhi milayen, mixture tayyar hone par ise affected hisso par lagayen, is ke ilawa almond khawateen ki khoobsurti mein bhi ahem kirdar ke hamil hein. Agar aap ke chehre par pimples hein to badam in pimples ko khatam kar ke skin ki khoobsurti ko bahal karte hein. Chashma pehenne walay khawateen o hazrat ki nose par dono atraaf par jane walay nishanat bhi badamo or naryal ka oil milar kar malish karne se door ho sakte hein.
Badamo ka paste agar balai or gulab ki kalyo ke paste ke sath mila kar har roz chehre par lagaye jaye to ye bhi husn ki dilkashi mein izafay ka bai's hota ha, kiyounkay skin bilkul saaf shaffaf ho jati ha or chehre pr jhurrayan nahi parti, keel muhaso ke ilawa skin ki khushki se bhi nijat mil jati ha, nez chehra bhi taza or shagufta mehsoos hone lagta ha. Gehri rangat ek hamil lips par bhi badam or nariyal ka oil barabar quantity mein mila kar lagaya jaye to wo bhi faidamand hota ha or lips ki rangat tabdeel ho jati ha, almond oil 1 herat angez moisturizer bhi ha jise use karne ke baad aap ko freckle creams se nijat mil sakti ha.

No comments:

Post a Comment