Yad Dasht Ko Kese Behtar Banaya Jaye

How To Improve Your Memory

yad dasht ko kese behtar banaya jaye
improve your memory
improve your memory power

Hamara mind 1 pecheeda machine se bhi pechida ha is liye is ki behtari or  nasho numa ke liye chand hidayaat peshe khidmat hein jin ki badolat aap ki yad dasht behtar ho sakti ha.
1. Hamesha raat ko  jaldi sone ki habit apnaye or subah saweray uthna apna mamool banayen.
2. Raat ko sote waqt tamam din ki talkh or deegar batein bar bar zehan mein na layen balkay pur sukoon neend ko tarjeeh dein.
3. Pur sukoon neend ke liye zaroori ha ke hawadar jaga ka selection karein kiyounkay oxygen dimagh ke liye bohat zaroori ha.
4. Subah saweray uth kar Namaz ke baad exercise zaroor karein. Kiyounkay oxygen dimaghki khoorak ha is liye dorane exercise lambay lambay saans lekar zehan ko taro taza karein.
5. Games na sirf children ke liye mufeed ha balkay ye tamam age ke afrad ki zehni basat ko barhati hein, is lie koi interesting game zaroor khelen.
6. Games dimagh ki behtareen exercise sabit hoti hein, is liye differenet or interesting games se dimaghi salahiyat ko mazboot karein.
7. Hamesha achi or sada ghiza khayen.
8. Blood pressure or sugar ka ilaj karein, ye yad dasht ko bohat ziyada mutasir karte hein.

No comments:

Post a Comment