Kuch Habits Jis Ki Waja Se Aap Motay Ho Jatay Hein

Some Habits That Make You Fat

some habits that make you fat
fat hone ki wajoohat
tips to maintain your weight

Research ke mutabiq jo log bare bare niwalay khate hein wo 50% izafi calories lay letay hein un logo ki nisbat jo chotay chotay niwalay letay hein or chaba chaba kar khate hein. Ghiza ko chote pieces mein taqseem kar ke khana chahiye kiyounkay ye sehat ke liye mufeed ha.
Raat ko dair se khane ki waja se aap khate hi so jate hein  jis ki waja se aap ko acidity or khana hazam na hone ki shiyat ka samna karna parta ha. Sone se qabal agar aap ka pait bhara huwa to nizame hazam durust andaz mein apna kaam sar anjam nahi de pata jis ke bai's pait ke volume mein izafa hota chala jata ha.
Expert ke mutabiq chahay ziyada neend li jaye ya kam dono sehat ke liye khatarnak hein. Expert ka kehna ha ki 1 baligh fard ko rozana 8 hours sona chahye. Agar hum baat karein sirf kam neend ki to ye 1 motapay ki bohat bari waja ha. Jab aap kam sotay hein to aap mein meethi cheezein khane ki ziyada khuwahish paida hoti ha or youn aap motapay ka shikar ho jate hein.
Jab aap shadeed ghussay ke alam mein hote hein ya phir aap par udasi ya mayusi chai hui hoti ha, is doran khana khana aap ki jismani halat ke liye behtar nahi hota. Is amal se zehni halat par to koi faraq nahi parta albatta aap ki tond mein izafa zaroor ho jata ha.
Agar aap rozana cold drinks peetay hein to is ka matlab ha k aap motapay ko khud galay lagana chahtay hein. Tibbi mahireen ki mutabiq rozana cold drinks ke use motapay ki speed 5 guna izafa hota ha. Kiyounkay beverages mein sugar ka use ziyada kiya jata ha. Is ke ilawa cold drinks khane ki khuwahish mein bhi izafay ka bai's bantay hein or youn aap mamool se ziyada calories hasil karna shru kar detay hein.

No comments:

Post a Comment