Jild Ki Hifazat Or Chehre Ki Khoobsurti Ke Liye Ubtan Ka Istamal

Jild Ki Hifazat Or Chehre Ki Khoobsurti Ke Liye Ubtan Ka Istamal

jild ki hifazat or chehre ki khoobsurti ke liye ubtan ka istamal
ubtan for skin
ubtan for fair skin
ubtan ke fawaid
Ubtan hamari riwayat ka khaas hissa raha ha. Chehre ki rangat gori karne ke liye or chehre ke faltoo royen kam karne ke liye ubtan ka use sadyo se azmooda ha. Apni jild ki hifazat ke liye ab bhi baaz khawateen ubtan ka istamal karti hein kiyounkay chehre par se baal or royen ubtan ke mutawatar use khatam ho jatay hein. Is se chehre ke daagh dhabbe, keel muhase or jhayan waghera bhi khatam ho jati hain. Chehra saaf, mulaim or khoobsurat ban jata hai.
Ja ka aata, gandum ki bhoosi or badam hum wazan lekar bareek peel lein or istamal karte waqt cow ke baghair boil kiye hue milk mein mila kar ise paste ki trah bana lein or ise istamal karein. Ye aap ke chehre, gardan, hands or legs ke liye jadooi asar ubtan sabit hoga.
Chane ki daal, doodh mein bhigo kar 1 ya 2 din ke liye rakh dein. Jab doodh khushk ho jaye to daal ko pees kar chehre par ubtan ki tarah lagayen. Ye ubtan bhi chehre ke liye bohat mufeed or moassar hai.
Masoor ki daal, egg ka chilka or sookhay maltay ke chilkay hum wazan le kar pees lijiye. Phir is murakkab mein thora sa pani mila kar lap bana kr chehre par lagayen. Bohat faida mand ubtan hai.


No comments:

Post a Comment