High Blood Pressure Ke Liye Asan Ilaj

High Blood Pressure Ke Liye Asan Ilaj

high blood pressure ke liye chand asan ilaj in urdu
high blood pressure ka totka
high blood pressure ka desi ilaj
high blood pressure se nijat ke liye

High blood pressure ke liye 7 choti ilaichi ke dane (Dane black hona zaroori hai) 1 gulab ki pattiya in sab ko 1.5 cup water mein josh dein, pani half cup reh jaye to neem garam pi lein, kuch arsa ke use se blood pressure normal ho jaye ga.
Garmio ki sabziyo mein tenday bohat afadiyat ke hamil hein, in se na sirf jismani kamzori khatam hoti hai balkay agar high blood pressure ke mareez is mosam mein is sabzi ka kasrat se istamal kiya karein to is se in ki takleef mein afaqa hota hai. Tendo ke ilawa cholai ka saag bhi is marz ke liye bohat mufeed hai.
Aalu bukhara pait or   jigar ke sath sath blood pressure mein bari mufeed shay hai. Agar koi shakhs blood pressure ke marz mein mubtala ho to use khushk aalu bukharay ke sath khushk podina or bareek pisi hui sonf 3 3 gram pani mein raat bhar bhigo kar subah ke waqt nihar moo dena chahiye. Is se chand hi dino mein hypertension mein aetidal ho jaye ga.
Hasb-e-zaroorat taza or umda moti jamun lein, inhen kisi malmal ke kapray mein daal kar in ka rus achi tarah nichor lein. Or 1.5 guna qand safed mila kar is ka sharbat tayyar kar lein. Sharbat ka qawam kacha na ho, ye sharbat blood pressure ke mareezo ke liye nafa bakhsh hota hai.

High Blood Pressure Ke Liye Asan Qehwa

 


No comments:

Post a Comment