Balon Ki Hifazat Ka Tarika

Balon Ki Hifazat Ka Tarika

balon ki hifazat ka tarika in urdu
hair care beauty tips
hair care tips in urdu
hair tips in urdu
healthy hair tips

1. Tootay hue dandano ki comb kabhi use na karein.
2. Doosray ki istamal shuda comb use karnse se perhaiz karein.
3. Sar dhone ke liye thanda pani use karein, albatta sardi ke mosam mein halkay garam pani se sar dhoyen. Tez garam pani se kabhi na sar dhoyen. Is se sar mein dandruff paida ho jati hein, balon ki jarein kamzor hone ki waja se baal girne lagte hein.
4. Nahane se pehlay balon men oil lagayen, is se baal ki jarein mazboot ho jati hein.
5. Bazari khushboo dar tail ke bajaye nariyal ya sarso ka khalis oil use karein.
6. Kabhi kabhi neem garam pani mein thora sa sirka or lemon ka arq mila kar is se sar dho liya karein.
7. Khoosh rehne ki koshish karein, kiyounkay khush rehne or balon ki tandurusti mein bohat gehra taluq hai, chirchiray pan se khof or fikar se sar ki sharyano tak blood ki rawani mein ba qaidgi na hone ki waja se balon par asar parta hai kiyounkay haijani kefiyat mein sharyanay sukar jati hain or balon ki jaron ko taqwiyat pohanchany ke liye blood ka pohanchna band ho jata hai. Dimaghi parshani ke waqt aap 10 se 12 minute balon mein comb karein ye balon ke liye faida mand hai.

No comments:

Post a Comment