Moo Ki Badboo Ka Behtareen Ilaj

Moo Ki Badboo Ka Behtareen Ilaj

moo ki  badboo ka behtareen ilaj
Agar kisi cheez ke khanay k sabab moo mein badboo aati ho to hara dhanya chaba kar khaye nez gulab ke taza ya sookhay huway phoolon se dant manjhye Insha Allah Azzawojal faida hoga. Han agar pait ki kharabi ki waja se badboo aati ho to kam khori ki saadat hasil kar ke bhook ki barkatein lootnay se Insha Allah tango or badan ke mukhtalif hisso ke dard, qabz, seene ki jalan, moo ke chalay, bar bar hone walay nazlay, khansi or galay ke dard, gums mein khoon aana waghera bohat saray amraz ke sath sath moo ki badboo se bhi jan choot jaye gi. Bhook baqi rahe is  tarah se kam khane mein 80% amraz se bachat ho sakti hai.

No comments:

Post a Comment