Lal Mirch Ke Fawaid


lal mirch ke fayde
lal mirch ke fayde
cayenne pepper benefits in urdu

Research ke mutabiq mircho mein shamil juz capsaicin jism ki charbi ko ghulane mein madadgar sabit hota hai mirchein body mein tawanai ko jala kar hararat peda kar deti hein, jis se izafi calories jal jati hein.
Lal mirch ke sath agar koi aesi ghiza shamil kar li jaye to jo is ki garmi or khushki ko absorb kar le to ye 1 behtareen maqwi dawa ban jati hai.
Tajurba se sabit huwa hai k lal mirch kheeray par laga kar khane se heart, brain or stomach ke afaal ki islaah hoti hai. Blood saaf hota hai, rangat nikhar aati hai, aadmi ki istedaad kar mein izafa hota hai, thakan qareeb nahi aati, balghami dardo se nijat milti hai.

Lal mirch salan mein use hone wala lazmi masala hai or behad mashoor or pasandeeda hai is ke baghair koi bhi salan khush zaiqa or mufeed nahi ban sakta har chand ye masala hai. Magar vegetables ke khandan se is ka taluq hai. Ise pees kar handi mein shamil kya jata hai or ise ghee mein bhoon kar khane ka juz banane se khana khush zaiqa ban sakta hai. Poday par pehle sabz hoti hai or pak kar surkh ho jati hai jo lambi muddat tak kaam aati hai.
 Iron, phosphorous, protein or vitamin A or C shamil hein. Is ka mizaj garam khushk hai. Mirch bhook lagati 
hai or maqwi maida hai. Reeh ko jism se kharij karti hai or wabai zehro ka mirch sab se bara taryaq hai.
Mirch aab o hawa ki tabdeeli mein nuqsan se bachati hai. Mirch sabz haiza se bachati hai or ye zehro ka taryaq bhi hai. Sabz mirch se barsat mein haiza hone se  nijat milti hai. Balghami mizaj walo ke liye ye mirch behad mufeed hai jo taam ko hazam karti hai.  
Mirch ka tincture allopathy mein balon ko barhne ka mujarrib nuskha qarar pata hai. pattho ko taqat deti hai. Moo ki badboo khatam kar deti hai. Band peshab or band hez khol dene mein behad mufeed hai. Khansi mein ise honey mila kar khana behad mufeed hai.
Lal mirch ka ziyada use bawaseer paida karta hai. Galay ko kharab karta hai, jigar mein garmi barhati hai is ki ziyadti se perhaiz karein.

No comments:

Post a Comment