Loquat Ke Fawaid

Loquat Ke Fawaid In Urdu

loquat k fawaid in urdu
lokat k fawaid
lokaat k fawaid
fruit benefits in urdu

Mashoor fruit hai. Is ka darakht amroord k darakht k barabar hota  hai. Phool or phal guchlo mein lagtay hein. Ye darakht India mein angrez laye thay. Rang gehra zard, taste tursho sheeree, maqam paidaish Hind o Pakistan is darakht ko angrez Europe se barkochak India mein laye thay. Bangal mein bakasrat paida hota hai. Piyas bujhata hai. Safra or blood ki  hiddat ko door karta  hai or aksar safrawi or khooni diseases mein useful hai. Qadray qabiz bhi hai is ka sharbat nihayat tasty hota  hai.
Lokat mosam-e-garma ka mashoor fruit hai apnay ghizai o shifai asrat mein doosray phalo ki tarah is ki apni afadiyat hai. Is ka poda sada bahar kehlata hai.
Lokat tabiyat ko farhat bakhshta hai or masam e garma ka phal honay ki waja se apnay mosami taqazo ko poora kartay hue garmi ko door karta hai or garmiyo mein jo tabiyat nidhaal ho jati hai is mein farhat or sakoon bakhshta hai.

No comments:

Post a Comment