Apricot Benefits In Urdu

Khubani Benefits In Urdu

khubani k faide in urdu
 khubani ke faide
khoobani ke faida

Khubani mashoor fruit hai. Color zard, taste sheeri, mizaj sard o tar badarja dom, maghz garam o tar miqdar khoorak, panch adad se 10 adad tak. Maqam paidaish Afghanistan, Maghribi Hind, Pakistan. Jumla aeza ko quwat deta  hai. Is ka naqoo, safradi or khooni patto, sozish maida or bawaseer ke liye nafe  hai. Maida ko motadil qawam karta hai. Piyas, khoon, josh khoon ko taskeen deta hai. Safra ka sehal hai. Maghz khubani almond ki tarah lazeez hota hai. Darakt khubani ke pattay qatil karam shikam hein. Khubani mein khoon k josh ko taskeen denay ki qudrati khoobi pai jati hai. Khooni o badi bawaseer mein is ka use bhi mufeed hai. Wart ki jalan mein bhi nafe  hai jo log apricoat use kartay hein. In k body mein chusti o tawanai ka ahsas rehta hai, qabz  nahi hoti.
Khubani mamooli garam, qabz kusha hai. Jism ko taqat bakhshti hai. Pait ke keero ko marti hai. Piyas, piles, fever or anto mein ho jane ki shikayat mein is ka use acha rehta hai. Khatti nahi khani chahiye warna uphara karegi. Is ki meethi guthli ki 8 se 10 gari kha lena mufeed hai ziyada nahi.

No comments:

Post a Comment