Dant Dard Ki Dua

dant dard ki dua

Hazrat Abdullah Bin Rawaha Razi Allah Tala Anhu se riwayat hai ke unhon ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apna dast mubarak un ke rukhsar par jis mein dant ka dard tha rakh kar 7 martaba dant dard ki ye Dua parhi to Allah Ta'la ne apne Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam ke dast mubarak uthane se pehle dant dard ko door farmaya.

Allahumma Azhib Anhu Ma Yajidu Wafahsahu Bidawati Nabeeka Almiskeena Almubaraki Indaka


Jis ke dant mein dard ho wo is Ayat ko kaghaz par ya kapray par rakh kar dant ke neeche dabaye Insha Allah dant ka dard jata rahega.

Likulli naba im mustaqar runw wa sawfa ta'lamoon 

dant dard ka wazifa


Agar dant mein sakht dard ho to ba wuzu Surah Quraish 21 baar parh kar namak par dam kijiye aur wo namak dard walay dant par malye aur danto ke darmiyan rakhye din mein 2 3 baar ye amal karne se Insha Allah faida hoga.

Jis ke dant ya darh mein dard ho us ko ungli se daba kar Surah Mulk ki Ayat # 23 ko 7 martaba parhe, Insha Allah dard khatam ho jayega.

No comments:

Post a Comment