Motapa Kis Tarah Control Kiya Ja Sakta Hai

motapa control karna in urduKhoobsurat nazar aane ki khuwahish har aurat mein hoti hai. Zaman haal mein jism ko khoobsurat rakhne k liye log jitne jatan karte hein wo is baat ki wazeh akasi karte hein k sirf khawateen hi nahi balkay mard bhi apni zahiri khoobsurti or fitness k baray mein bohat hassas hotay hein. Baaz aukat to aesa dikhai deta hai k muashray mein aik doosray say barh kar khoobsurat or purkashish nazar aane ki dor lagi hui hai. majmooi tor par dekha jaye to khoobsurti sirf gori rangat or pur kashish naqoosh ka hi naam nahi balkay in sab say ahem or bunyadi ahmiyat ki hamil cheez hai insan ka mutanasub jism or khoobsurat sarapa. Khali make up kar lenay say jism ka haqeeqi husan ujagar nahi hota balkay asal khoobsurti haseen sarapay ki marhoon minnat hai. Saaf khoon or mazboot paththa bhi khoobsurti mein izafay ka sabab hotay hein jism mein saaf khoon ki munasib miqdar chehray par tazgi or shaguftagi lati hai jab k is k bar aks wo log jin ka khoon saaf nahi hota ya in k jism mein khoon ki kami hoti hai un k chehre zardi mail peelay ho jate hein. Khoon ki kami se chehre ki ronaq khatam ho jati hai or aankhein har waqt thaki thaki dikhai deti hein lehaza koshish karni chahiye k rang gora karne k bajaye majmooi khoobsurti hasil karne ki koshish ki jaye or is silsilay mein mehangi mehangi creams or facial massage par beja raqam zaya karne ki bajaye achi or mutawazan ghiza istamal ki jaye or ba qaidgi se warzish ka ahtimam kiya jaye. Har roz walk karna bhi sehat or khoobsurti ka zamin hota hai aesay mein ghar k qareeb koi lawn ya park na bhi mayassar ho to sehan ya chat par bhi walk ki ja sakti hai bas zaroorat hai to sirf kaam mein ba qaidgi lane ki. 1 warzish jo ghar mein tamam khawateen ba asani kar sakti hein or yeh in k jism ki sakht ko sadol or khoobsurat rakhne mein madadgar sabit ho sakti hein.

Aap mandarja bala diye gaye hidayaat par amal kar k motapay ko kafi had tak control kar sakte hein. 

Motapay Ka Rohani Ilaj:

Surah Al Raad 1 dafa rozana tilawat karein.
Surah Al Fatiha Fajar k baad 7 martaba tilawat karein.

No comments:

Post a Comment