Facial Beauty Tips In Urdu

Facial Beauty Tips For Face In Urdu
facial beauty tips in urdu
Khawateen ke liye facial karna ab 1 zaroorat ban chuka hai, chehray ki khoobsurti ko maintain rakhne ke liye jahan make up ka sahara liya jata hai wahan jild ki tazgi or nikhar ke liye jild ko facial ki bhi zaroorat hoti hai kiyounke barhti hui environmental pollution se face mutasir hota hai. Face par different nishan par jatay hein or chehra murjhaya sa lagnay lagta hai. Aesi soorat mein facial ke hi zariye chehray ki khoobsurti or tazgi ko maintain rakha ja sakta hai. Ladies agar facial karein to make up ki bhi zaroorat kam parti  hai. Agar hum yeh kahein ke facial skin ki ghiza hai to ghalat na hoga. Kiyounke is se blood circulation barhta hai. Skin ke muscles tight hotay hein jo chehray ki taro tazgi or chamak ka ba'is bantay hein.
Facial ke liye aap ko in cheezo ki zaroorat hoti hai, cold cream, rose water, cleansing cream ya lotion, towel, cotton, tissue paper, hair band, steamer or ice pieces. Facial karne se pehle chehray ki cleansing bohat zaroori hai, cleansing ke liye koi acha sa lotion lein or cotton ki madad se chehray or gardan par achi tarah laga lein, 3 se 5 minute tak cotton ya fingers pores ki madad se halka massage kar lein, cleansing ke baad chehre ko achi tarah tissue paper se saaf kar lein, is tarah chehray par jami gard saaf ho jayegi, ab facial massage ka marhala aata hai.
Facial massage marhala war hona chahiye is ke liye chehray ki step bana lein to ziyada behtar hoga. Naak, gaal, aankho or gardan ko separately massage karein. Facial massage karne ke liye aesaab ko dheela chor dein. Araam or sukoon ki  halat mein kharay hokar ya beth kar bhi massage kiya ja sakta hai. Ab cold cream ko dotes ki shakal mein face par lagayen or slowly slowly chehray par 5 minute tak massage kar ke cotton ki madad se saaf kr lein. Yaad rakhein ke massage karte waqt aap ke hath nihayat narmi se kaam karein. Ab apne dono hatho se kaan ke upar se sar ko pakrein or anghootay ko nose par rakh dein ab anghooto ko nose or forehead ki janib se up and down move karein. Yeh amal 2, 3 martaba dohrayen.
Ab aankho ke massage ka marhala aata hai, yaad rakhein ke aankho ke massage hamesha ring fingers se karna chahiye kiyounke is finger se eyes par bohat softly massage kiya ja sakta hai. Ring fingers ko nose ke konay se lekar ears tak aahista aahista dabao daltay huway massaga karein.

No comments:

Post a Comment