Nakhun Ki Hifazat

Nakhun Ki Hifazat
nakhun ki hifazat
Nails Care
Weather khuwah garam ho nakhun ki hifazat or dekh bhaal intahai zaroori hai or is maqsad ke liye important tareen amar regularly nakhun ki safai hai. Nakhuno ke ird gird thoray se neem garam oil ki malish karein or phir ise achi tarah saaf kar lein takay skin par jama huwa mail kuchail door ho jaye phir hydrogen peroxide ke 3 spoon, ammonia ke 1 spoon mein mix karein or is mixture of cotton pieces ki madad se hands or nails par lagayen. 2 ya 3 minute k baad hands ko dho kar khushk kar lein. Agar aap ke nails kharab hein or aap in ko numaya karte waqt inferiority complex ka shikar ho rahi hein to thori se care se aao ke nails khoobsurat ban saktay hein. Nakhun ki munasib or khoobsurat kharash tarash kar ke in ki khoobsurti ko barqarar rakha ja sakta hai. Is liye nakhun ko nail polish se arasta karte waqt sab se pehlay shafaf base coat nakhun par lagayen. Jab yeh khushk ho jayen to natural pink color polish use karein. Sone se qabal apne hands par cream lagayen apne hatho or nails par olive oil ya cream achi tarah malein hatho par gloves pehnein or so jayen aap ke nails or hands dono dilkash ho jayengay.

No comments:

Post a Comment