Farz Namaz K Baad Jaga Tabdeel Karna

Farz Namaz K Baad Jaga Tabdeel Karna
farz namaz k baad jaga tabdeel karna
Question: Kiya Farz Namaz ke baad Sunnat ya Nafil parhne ke liye jaga tabdeel karni chahiye ya usi jaga hi inhein ada kiya ja sakta hai?

Answer: Farz Namaz ada karne ke baad Sunnat ya Nafil parhne ke liye jagah tabdeel karli jaye ya guftugoo ke zariya in ke darmiyan fasla kar liye jaye. Kiounke Hadees mein hai Hazrat Ameer Muavia kehtay hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne hamein hukum diya hai, hum 1 Namaz ke sath doosri Namaz na milayen, guftugoo karle ya Masjid se nikal jaye (Sahi Muslim: 883)

1 Sahabi (R.A) biyan karte hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne Namaz-e-Asar ada farmai phir 1 admi khara ho kar Namaz parhne laga, usay Hazrat Umar (R.A) ne dekha to kaha beth jao, kiounke Ahle Kitab ko is baat ne hilak kiya tha ke in ki Namazon mein fasla nahi hota tha tab Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya. Ibn Khattab ne bohat achi baat kahi hai. ( Musnad Ahmed, Page 368, Jild 5) nez Rasool Allah (P.B.U.H) ka irshad girmai hai. Kiya tum se koi aajiz hai k wo aagay barhay ya peechay hatay ya bayen dayen ho kar Namaz parh lein yani Nafil namaz. (Abu Dawood: 1006) yeh amar mustahib hai taa ke Sajda kane ki jagah ziyada ho.

No comments:

Post a Comment