Nazr-e-bad Say Hifazat, Bad-Khuwabi Say Nijat K Liye

nazr-e-bad say hifazat ki dua Nazr-e-bad say hifazat ki Dua
Nazr-e-bad jharnay ka nihayat mujarrib amal
Shaitan say hifazat ka Wazifa
Waswaso say chutkara
Bad khuwabi say nijat k liye

 Shaitan Se Hifazat Ka Wazifa

Surah Ikhlas Namaz-e-Fajar ke baad 11 bar parhnay se agar shaitan bama lashkar ke sath bhi koshish karay to us se gunah karwa nahi sakta jab tak wo khud na karay.

Waswaso Se Chutkara

Ya Muqsitu rozana baad Namaz-e-Asar 100 bar parh liya karein. Insha Allah Azzawojal waswaso se chutkara hasil honay k sath sath dil bhi roshan hoga nez har jaiz murad bhi poori  hogi.

Bad Khuwabi Se Nijat Ke Liye

Ya Mutakabbiru raat ko sotay waqt 100 martaba parhye.

 Note: In tamam Wazaif mein awal o aakhir 11 11 martaba Durood Sharif parhein.

No comments:

Post a Comment