Daar Cheeni Ke Fawaid

Daar Cheeni Ke Fawaid

daar cheeni ke fawaid in urdu

Cinnamon Benefits:

Khanon mein garam masalo ka use 1 important juzz hai, daar cheeni ka regular use jaryan, flu, matli or maida ki kharabi khatam karne mein madadgar sabit hota  hai.
Daar cheeni ka bad hazmi or zakhmo ko mundamil karne ka riwayati use modern science se bhi sabit hai, bohat se khane pakane mein istamal hone walay masala jaat ki tarah ye bhi body ke liye faiday mand bataya jata hai.
Ye mukhtalif iqsaam ki bacteria ko khatam kar sakta hai, daar cheeni ka regular use cholesterol ko kam karne mein bhi bohat mufeed sabit huwa hai,
Expert ki tehqeeq ke mutabiq daar cheeni ka roz mara ke khano mein istamal bohat se beemariyo se bachata hai, is ke ilawa ye dil ki beemario or sharyano mein khoon jamnay se rokti hai.
Daar cheeni ko shehad ke sath khane se quwat mudafiat barhti hai jabka daar cheeni ko khane mein shamil karne se bacteria ki afzaish kam hoti hai or ye khane ko kharab hone se bachati hai.

Daar cheeni ke oil ka massage ghair hamwar skin ka behtareen ilaj tasawar kiya  jata hai. Ye oil teeth ke liye bhi bohat faida mand hai. Pisi hui daar cheeni ka lap chehre ke daagh dhabbay or muhaso ke nishanat mitane ke liye mufeed ilaj sabit hota hai.

1 comment: